My Rainbow Dreams

Just Blogger Templates

Sunday, March 27, 2016

Sakil badauni

Itne Sawal The Mere Paas Ki Meri Umar Se Simat Na Sake,      Jitne Jawaab The Tere Paas Sabhi Teri Ek Nigah Mein Aa Gaye!

Galib

पतझड़ भी हिस्सा है जिंदगी के मौसम का,
                                                              फर्क सिर्फ इतना है कुदरत में पत्ते सूखते हैं और हकीकत में रिश्ते।

Friday, April 17, 2015

Sakil sarafatali

Apno Ne Zehar Ka Jaam De Diya; Gairon Ne Bewafa Naam De Diya; Jo Kehte The Humein Bhool Na Jana; Unhi Ne Bhoolne Ka Paigam De Diya!

Wednesday, April 8, 2015

Zafar ikbal

Bewafai Karke Niklun Ya Wafa Kar Jaunga;
Shehar Ko Har Zaike Se Aashna Kar Jaunga;
Tu Bhi Dhoondega Mujhe Shauq-e-Saza Mein Ek Din;
Main Bhi Koi Khoobsurat Si Khata Kar jaunga.     ~ Zafar Iqbal

Thursday, April 2, 2015

Ahemad nadeem

Mil Bhi Jate Hain Toh Katara Ke Nikal Jaate Hain; Haye Mausam Kee Tarah Dost Badal Jaate Hain;

Hum Abhi Tak Hain Giraftar-e-Mohabbat Yaaro; Thokarein Kha Ke Suna Tha Ki Sambhal Jaate Hain;

Ye Kabhi Apni Jafa Par Na Hua Sharminda; Hum Samajhate Rahe Patthar Bhi Pighal Jaate Hain;

Umar Bhar Jin Kee Wafaon Pe Bharosa Kije; Waqt Padane Pe Wohi Log Badal Jaate Hain! ~ Bashir Badr

Sunday, March 29, 2015

Jaleel manek puri ( lala )

Aise Chhupne Se Na Chhupna Hi Tha Behtar Tera;
           
Tu Hai Parde Mein Magar Zikr Hai Ghar Ghar Tera!

~ Jaleel Manikpuri

Saturday, March 21, 2015

Zafar ikbal

Chand chamkta gaya,                              Shama jalti rahi      ,  or ham taraste rahe roshni k liye      .       log dafna ke mujko chale bhi gay , or WO khade the meri wapsi k liye.       -zafar ikbal